Lo Ji Hum Aa Gaye Lyrics – Ek Vivaah Aisa Bhi

Rajshri Productions Pvt Ltd Banner presents Ek Vivaah Aisa Bhi is Directed by Kaushik Ghatak. Movie stars Sonu Sood and Isha Koppikar in lead roles. The Film releases on November 7th 2008.

Movie Details

Title: Ek Vivaah Aisa Bhi (2008)
Starcast: Sonu Sood, Isha Koppikar, Alok Nath, Smita Jaykar
Director: Kaushik Ghatak
Producer: Ajit Kumar Barjatya, Kamal Kumar Barjatya, Rajkumar Barjatya
Banner: Rajshri Productions Pvt Ltd
Story Writer: Sooraj R Barjatya
Release Date: November 7th 2008
For more details: Ek Vivaah Aisa Bhi Movie Page

Music and Lyrics Details

Song Title: Lo Ji Hum Aa Gaye Lyrics
Other Title: Lo Ji Hum Aa Gaye Hindi Song Lyrics
Music Director: Ravindra Jain
Lyricist: Ravindra Jain
Singer(s): Shaan, Pamela Jain, Farid Sabri, Satish Dehra
Length: 5 minutes 14 seconds

Lo Ji Hum Aa Gaye Lyrics

Aankhon mein pyaas.. (Aankhon mein pyaas Aankhon mein pyaas)
Dil mein mohabbat (mohabbat liye hue)

Aankhon mein pyaas
Dil mein mohabbat liye hue
Mehboob ke didaar
Ki hasrat liye hue
Lo ji hum aa gaye hain
Lo ji hum aa gaye hain

Lo ji hum aa gaye
Aa gaye aa gaye hain

Aate hai der se..
Magar aate jarur hai

Aate hai der se
Magar aate jarur hai
Aur aake yeh ehsaan
Jataate jarur hai
Lo ji hum aa gaye hain
Lo ji hum aa gaye hain

Haan ji hum aa gaye
Aa gaye aa gaye hain

Aaj toh rasm thi sagaayi ki (sagaayi ki)
Aaj bhi waqt par nahi aaye (nahi aaye)
Ho… darr hai shaadi ke roz phir.. na
Shubh mahurat kahin na dhal jaaye (shubh mahurat kahin na tal jaaye)

Ho… yeh premi bhi hai pandit bhi
Jo kehade wahi ho jaata hai (jo kehade wahi ho jaata hai)
Jis waqt pe hum aa jaate hai
Wo waqt sahi ho jaata hai

Hum aa gaye hai
Lo ji hum aa gaye
Lo ji hum aa gaye
Aa gaye aa gaye hain

Aa gaye hain
Aa gaye hain
Shaadi pakki karaane aa gaye hain

Aa gaye hain
Aa gaye hain
Apani kathri kagaane aa gaye hain

Aa gaye hain
Aa gaye hain
Shaadi pakki karaane aa gaye hain

Hame nazar aati hai
Tumhaari taange saras jaisi

Magar kisike dil mein hamaari
Kadr hai paaras jaisi

Waari jaawaan
Hai main waari jaawaan

Hame tumhaari
Naak nazar aati hai tote waali (naak tote waali)

Hamne tumko maaf kiya
Wo nakhare waali saali

waari jaawaan
hai main waari jaawaan

harkate bandar jaisi (Hai)
shakal langoor jaisi (O ho)
inhe hum kaise de de
dulhaniya hoor jaisi

chidiya ghar ke log tumhaara
dil behlaane aa gaye hain

aa gaye hain
aa gaye hain
apani kanchi kagaane aa gaye hain
aa gaye hain
aa gaye hain
apani kanchi kagaane aa gaye hain

ho sangdilon
ho tangdilon
aashiq pe na itana julm karo
raasta chhod do
andar aane do

aane ki baat toh
jaane do jaane do
saja kyun dete ho
saja ke kaabil ho
hamaara jurm hai kya
kisike kaatil ho

darwaaja hai band
woh khidaki toh khole (khidaki toh khole)

jisake liye aaye
woh bhi toh kuchh bole (woh bhi kuchh bole
haan khidaki toh khole)

Na ji na ji na

yeh khidaki nahi khulegi

toh gujjiya yahin bichhegi

yeh khidaki nahi khulegi

toh dhuni yahin ramegi

yeh khidaki nahi nahi khulegi

samaadhi yahi lagegi

yahi lagegi
yahi lagegi ho

khidaki khuli toh
khul gayi takdir hamaari
yeh kehate hue
aage badhe prem pujaari
lo ji hum

lo ji hum

jhat se aa gaye hain
phat se aa gaye hai
lo ji hum aa gaye
aa gaye aa gaye hain

Lo Ji Hum Aa Gaye” from Ek Vivaah Aisa Bhi, song composed by Ravindra Jain and sung by Shaan, Pamela Jain, Farid Sabri, Satish Dehra.

We have tried to perfect the Lo Ji Hum Aa Gaye lyrics. Still, there could be a few mistakes here and there. Please do drop in a comment below and we will get it rectified as soon as possible. Thanks

Advertisements

Leave a Comment