The Itni Si Baat Hain lyrics from ‘Azhar’, featuring Emraan Hashmi, Prachi Desai and Nargis Fakhri. Directed by Tony D’Souza, the music has been composed by Pritam. The lyrics of Itni Si Baat Hain has been penned by Manoj Yadav. The song has been sung by Arijit Singh and Antara Mitra.
Itni Si Baat Hain Lyrics
Tere dar pe aake tham gaye
Naina namaazi bann gaye
Ek dooje mein yun dhal ke
Aashiqana aayat ban gaye
Main aur tum
Kaisi dil lagaai kar gaye
Rooh ki rubaai bann gaye
Khaali khaali dono thhe jo
Thoda sa dono bhar gaye
Main aur tum
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai
Lage na yeh dhoop zaroori
Lage na yeh chaanv zaroori
Milte hain ishq zameen par
Ab do hi naam zaroori
Main aur tum
Apna khuda bhi hoga
Apna hi rab le lenge
Khud ki bana ke duniya
Ye zindagi jee lenge
Main aur tum
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai
Ek tum, ek main
Teeja maangu kya khuda se
Dil doon, jaan doon
Kya doon itna bata de
Tera mera rishta hai
Saanson se bhi naazuk
Tum sa, hum sa
Koi duja na hoga na hua re
Do dil sa ik seene mein hai
Jaise main aur tum
Ab dono hum ik jeene mein hain
Jaise main aur tum
Jaan se zyada chaha tumko piya re
Harpal, hardum, humdum tumko jiya re
Aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai
Lyrics: Itni Si Baat Hain – Azhar Song
Music Director: Pritam
Lyrics: Manoj Yadav
Singer: Arijit Singh, Antara Mitra
If there are any mistakes in the Itni Si Baat Hain Lyrics from Azhar, please let us know by submitting the corrections in the comments section.