Aarambh Lyrics – Gulaal

Aarambh Lyrics – Bollywood Hindi Lyrics

Movie: Gulaal (2009)
Music Director: Piyush Mishra
Director: Anurag Kashyap
Lyrics: Piyush Mishra
Starring: Deepak Dobriyal, Kay Kay Menon, Aditya Srivastav, Piyush Mishra…
Song Title: Aarambh

Aarambh Lyrics

[Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do]- 2 times
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
Aarambh hai prachand…

[Mann kare so praan de,
Jo mann kare so praan le,
Wahi to ek sarv shaktimaan hai] -2 times
Ishr ki pukaar hai yeh bhagwat ka saar hai,
Ki yudh hi to veer ka pramaan hai,
Kauravo ki bheed ho ya pandavo ka neer ho,
Jo lad saka hai wo hi to mahaan hai,
Jeet ki hawas nahi, kisi pe koi vash nahi,
Kya zindagi hai thokaro pe maar do,
Maut anth hai nahi to maut se bhi kyu dare?
Yeh jaake aasmaan mein dahaad do,
Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
Aarambh hai prachand…

[Ho daya ka bhaav ya ki shaurya ka chunaav,
Ya ki haar ka wo ghaav tum yeh soch lo]- 2 times
Ya ki poore bhaal bhar jala rahe vijay ka laal,
Laal yeh gulaal, tum yeh soch lo,
Rang kesari ho ya mridang kesari ho ya ki,
Kesari ho laal tum yeh soch lo..

Jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet,
Uss kavi ko aaj tum nakaar do,
Bheegti nasso mein aaj, phoolti rago mein aaj,
Aaj aag ki lapat ka tum baghaar do,
Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
Aarambh hai prachand- 3 times
Hoye hoye hoye…

Advertisements

1,191 Comments

Leave a Comment