Pyaar Hua Chupke Se Lyrics – 1942 A Love Story

The Pyaar Hua Chupke Se lyrics from ‘1942 A Love Story’, starring Anil Kapoor, Manisha Koirala and Jackie Shroff. Directed by Vidhu Vinod Chopra, the music has been composed by R D Burman. The lyrics of the song have been penned by Javed Akhtar. The film was released on July 15th 1994.

Pyaar Hua Chupke Se Lyrics

[fb send=’true’ layout=’button_count’][t countbox=’horizontal’]

Dil ne kaha chupke se
Ye kya hua chupke se

Kyon naye lag rahe hain ye dharti gagan
Maina poochha to boli ye pagli pawan
Pyaar hua chupke se
Ye kya hua chupke se (Repeat Once)

Titliyon se ye suna
Titliyon se ye suna
Maine kissa baagh ka
Baagh mein thi ek kali
Sharmeeli anchhui
Ek din manchala bhanvra aa gaya

Khil uthi vo kali paaya roop naya
Poochhti thi kali ki mujhe kya hua
Phool hanse chupke se
Pyaar hua chupke se

Maine baadal se kabhi
Ho maine baadal se kabhi
Ye kahaani thi suni
Parvaton ki ek nadi
Milne sagar se chali
Jhoomti ghoomti
Ho naachti dolti
Kho gayi apne sagar mein jaake nadi
Dekhle pyaar ki aisi jaadugari
Chaand khila chupke se
Pyaar hua chupke se

Kyon naye lag rahe hain ye dharti gagan
Maina poochha to boli ye pagli pawan
Pyaar hua chupke se
Ye kya hua chupke se

Kyon naye lag rahe hain ye dharti gagan
Maina poochha to boli ye pagli pawan …

Pyaar Hua Chupke Se Song Lyrics Details

Song Title: Pyaar Hua Chupke Se
Music Director: R D Burman
Lyrics: Javed Akhtar
Singer(s): Kavita Krishnamurthy
Song Duration (mm:ss): 5:15

Movie: 1942 A Love Story (1994)
Director: Vidhu Vinod Chopra
Starcast: Anil Kapoor, Manisha Koirala, Jackie Shroff, Anupam Kher, Danny Denzongpa, Pran, Chandni, Raghuvir Yadav, Sushma Seth, Manohar Singh, Pramod Muthu
Producer: Vidhu Vinod Chopra
Banner: Vidhu Vinod Chopra Productions
Release Date: July 15th 1994
For more details: 1942 A Love StoryMovie Page

If there are any mistakes in the Pyaar Hua Chupke Se Lyrics from 1942 A Love Story, please let us know by submitting the corrections in the comments section below.

Advertisements

1 Comment

Leave a Comment