O Mere Rabba Lyrics – Dhai Akshar Prem Ke

The O Mere Rabba lyrics from ‘Dhai Akshar Prem Ke’, starring Abhishek Bachchan and Aishwarya Rai in the lead roles. Directed by Raj Kanwar, the music has been composed by Jatin – Lalit. The lyrics of O Mere Rabba has been penned by Sameer.

O Mere Rabba Lyrics

[fb send=’true’ layout=’button_count’][t countbox=’horizontal’]

O mere rabba dil kyun banaaya,
Tanhaai se kyun tadapana sikhaaya (Repeat once)

Kaisi hai teri khudaai, koyi sune na duhaai
Ho gayi kya khata, lut gaye
Ho gayi kya khata, lut gaye

O mere rabba dil kyun banaaya,
Tanhaai se kyun tadapana sikhaaya

Kaun hai dil ke paas jo dhadkane sun raha
Dur se meri maang mein chaandani bun raha
Bite huye lamhe yaad na kar,
Ai ishq hamein barbaad na kar
Ashkon ke samandar sukh gaye,
Abb milne ki fariyaad na kar

Dard ka aalam thehra, dur talak hai sehra
Pyaar ke har nishaan mit gaye,
Ho gayi kya khata lut gaye

O mere rabba dil kyun banaaya,
Tanhaai se kyun tadapana sikhaaya

Jism toh bejaan hai tere bin, tere bin
Roshani se hai juda mere din, mere din
Dil woh nagar hai jo basata nahi ujadake
Pachhataayega ya rab tu yeh basti ujaadake
Kabhi ranjish kabhi shikave,
Kabhi mannat kabhi naale
Kiya na ishq tu bhala kaise is dard ko jaane
Chot jigar ne khaayi,
Honton tak aah na aayi
Chaahaton ke diye bujh gaye
Ho gayi kya khata lut gaye

O mere rabba dil kyun banaaya,
Tanhaai se kyun tadapana sikhaaya
Kaisi hai teri khudaai, koyi sune na duhaai

Ho gayi kya khata, lut gaye (Repeat once)

Lyrics: O Mere Rabba – Dhai Akshar Prem Ke Song
Music Director: Jatin – Lalit
Lyrics: Sameer
Singer: K K, Anuradha Paudwal

If there are any mistakes in the O Mere Rabba Lyrics from Dhai Akshar Prem Ke, please let us know by submitting the corrections in the comments section

Advertisements

Leave a Comment