Mujeh Naulakha Mangade Lyrics – Sharaabi

The Mujeh Naulakha Mangade lyrics from ‘Sharaabi’, starring Amitabh Bachchan, Jayapradha in the lead roles. Directed by Prakash Mehra, the music has been composed by Bappi Lahiri. The lyrics of the song have been penned by Anjaan. The film was released on May 18th 1984.

Mujeh Naulakha Mangade Lyrics

[fb send=’true’ layout=’button_count’][t countbox=’horizontal’]

Ang ang tera rang rachcake aisa karu singaar,
Jab jab jhaanjar jhankaaon main khanke man ke taar

Mujhe naulakha manga de re o saiyan deewane,
Mujhe naulakha manga de re o saiyan deewane,

Maathe pe jhumar kaano mein jhumka paaon mein payal liya haathon mein oo kangana,
Mujhe naulakha manga de re o saiyan deewane,
Tujhe main tujhe main tujhe gale se laga lungi o saiyan deewane,
Mujhe angiya sila de re o saiyan deewane,
Tujhe main tujhe main tujhe seene se laga lungi o saiyan deewane,
Mujhe naulakha manga de re o saiyan deewane,

Salma sitaaron ki jhil mil chunariya, aao pehan ke to pisle najariya,
Mujhko sajade balma, sajade, Mujhko sajade balma,

Hori kuwari ye kamsin umariya, tere liye naache sajke sawariyan,
Laali manga de sajna, suraj se, Laali manga de sajna,
Tujhe main tujhe main tujhe hothon se laga lungi o saiyan deewane,
Tujhe hothon se laga lungi o saiyan deewane,

Main to saari umariya lutaaye baithi, Balmaa do ankhiyon ki sharaarat mein,
Main to janmo ka sapna sajaaye baithi, sajnaa khoke teri mohabbat mein,

Maana re maane ye ab maine maana, hota hai kya saiyan dil ka lagana,

Roke ye duniya ya ruthe zamana, jana hai mujheko sajan ghar jana,

Hooo Jaise gajra hase jaise kajra hase,
Ho Jaise gajra hase jaise kajra hase,
Waise ankhiyon mein tum muskurana,
Ho Kirno se ye maang meri sajake,
Poonam ke chanda ki bindiya mangake,
Tujhe mein tujhe mein tujhe maathe pe saja lungi o saiyan deewane,

Mujhe naulakha manga de re o saiyan deewane,
Tere kadmo pe chalka dungi main saare maykhaane,

Log kehte hai main sharaabi hoon,
Log kehte hai main sharaabi hoon,
Tumne bhi shaayad yehi soch liyaa,
Ha…
Log kehte hai main sharaabi hoon,

Kisi pe husn ka guroor, jawaani ka nashaa,
Kisike dil pe mohabbat ki, rawaani ka nashaa,

Kisiko dekh ke saanson se, ubharta hai nashaa,
Binaa piye bhi kahi hadh se, guzarta hai nashaa,

Nashe mein kaun nahi hai, mujhe bataao zaraa,
Kise hai hosh mere saamne, to laao zaraa,

Nashaa hai sab pe magar rang, nashe ka hai judaa,

Khili khili hui subaah pe, hai shabnam ka nashaa,
Hawaa pe khushbu ka baadal pe, hai rim jhim ka nashaa,

Kahi suroor hai khushiyon ka, kahi gum ka nashaa,

Nashaa sharaab mein hota to, naachti botal,
Maykade jhoomte, paymaano mein hoti hulchul,
Nashaa sharaab mein hota to naachti botal,

Nashe mein kaun nahi hai, mujhe batao zaraa,
Nashe mein kaun nahi hai, mujhe batao zaraa,

Log kehte hai main sharaabi hoon,

Thodi aankhon se pila de re sajni deewani,
Thodi aankhon se pila de re sajni deewani,
Tujhe main, Tujhe Main,
Tujhe saanson mein basa lunga sajni deewani,
Tujhe Naulakha manga dunga sajni deewani,
Tujhe Naulakha manga dunga sajni deewani,

Aaa…

Mujeh Naulakha Mangade Song Lyrics Details

Song Title: Mujeh Naulakha Mangade
Music Director: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan
Singer(s): Kishore Kumar, Asha Bhosle
Song Duration (mm:ss): 10:56

Movie: Sharaabi (1984)
Director: Prakash Mehra
Starcast: Amitabh Bachchan, Jayapradha, Ranjeet, Pran, Satyendra Kapoor, Smita Patil, Bharat Bhushan, A K Hangal, Dinesh Hingoo, Viju Khote, Suresh Oberoi, Pinchoo Kapoor
Producer: Satyendra Pal
Release Date: May 18th 1984
For more details: Sharaabi Movie Page

If there are any mistakes in the Mujeh Naulakha Mangade Lyrics from Sharaabi , please let us know by submitting the corrections in the comments section below.

Advertisements

Leave a Comment