The Jame Raho lyrics from ‘Taare Zameen Par’, starring Aamir Khan and Darsheel Safary in lead roles. Directed by Aamir Khan, the music has been composed by Shankar Mahadevan, Loy Mendonca and Ehsaan Noorani. The lyrics of Jame Raho has been penned by Prasoon Joshi.
Jame Raho Lyrics
[fb send=’true’ layout=’button_count’][t countbox=’horizontal’]
Kas ke joota kas ke belt
Khons ke andar apni shirt
Manzil ko chali sawaari
Kandho pe zimmedari
Haath mein file man mein dum
Meelon meel chalenge hum
Har mushkil se takrayenge
Tas se mus na honge hum
Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho (Repeat once)
Ye sote bhi hain attention
Aage rehne ki hai tension
Mehnat inko pyaari hai
Ekdum aagyakaari hai
Ye omelet par hi jeete hain
Ye tonic saare peete hain
Waqt pe sote waqt pe khate
Taan ke seena badhte jaate
Duniya ka naara jame raho
Manzil ka ishaara jame raho (Repeat once)
Yahaan alag andaaz hai
Jaise chidhta koi saaz hai
Har kaam ko taala karte hain
Ye sapne paala karte hain
Ye hardam socha karte hain
Ye khud se poocha karte hain
Kyon duniya ka naara jame raho
Kyon manzil ka ishaara jame raho (Repeat once)
Ye waqt ke kabhi ghulam nahi
Inhain kisi baat ka dhyaan nahi
Titli se milne jaate hain
Ye pedon se batiyate hain
Ye hawa batora karte hain
Barish ki boondein padhte hain
Aur aasman ke canvas pe
Ye kalakariyan karte hain
Kyon duniya ka naara jame raho
Kyon manzil ka ishaara jame raho (Repeat 5 times)
Lyrics: Jame Raho – Taare Zameen Par Song
Music Director: Shankar Mahadevan, Loy Mendonca, Ehsaan Noorani
Lyrics: Prasoon Joshi
Singer: Vishal Dadlani
If there are any mistakes in the Jame Raho Lyrics from Taare Zameen Par, please let us know by submitting the corrections in the comments section.