Aashiqui 2 Best Dialogues – Poetic Romance

Aashiqui 2 writer Shagufta Rafique has written some of the best dialogues for a romantic film in a long time.  Here are some of them. We have also included a couple of dialogue trailers in between.

Rahul Jaykar (RJ): Singers ki izzat kiya karo.. Unki jo tumhare Bar mein gaate hain and unki jinke gaaye hue gaano ki wajah se tumhara Bar chalta hai

_____________

RJ: Daaru apne ghar se laaya hai kya?

Bartender: Nahi sir

RJ: Toh daalne mein kanjoosi kyun kar raha hai? Daal na bindaas

_____________

Bartender: Sir ek beer bar hai, idhar se 20 minute door, lekin wo jagah aapke laayak nahi hai

RJ: Yaar apne laayak to main khud bhi nahi hoon

_____________

Aarohi: Pata nahi kahaan chale jaate ho tum baar baar

RJ: Main bar mein hi tha

RJ to Aarohi: Jab tum nahi thi toh mera dushman sirf main tha, isse pehle ki main tumhara ban jaoon.. go away

_____________

Pizza Delivery Man: Autograph milega?

RJ: haan

Pizza: aapka nahi madam ka

RJ: (smiles) main bulaata hoon madam ko….  aarohi use tumhara autograph chahiye ..

Aarohi: abhi iss waqt? baad mein de doongi na..

Rahul: Ye pal bohot keemti hote hain Aarohi.. jab jaate hain to wapas nahi aate.. jao

_____________

Aarohi: Main yahin rahungi tumhare paas, chali gayi to tum akele reh jaoge. Jo jee mein aaya karoge

_____________

RJ: Aarohi tumhari nakaamyaabi meri zindagi ki sabse badi haar hogi.. mere jeete jee main ek doosra Rahul paida hota nahi dekh sakta.. Tum Rahul Jaykar kabhi nahi banogi.. mere liye bhi nahi

_____________

Rahul: Jaanti ho duniya ke sabse behetreen aur mashhoor kalakaar wo log hote hain jinki apni ek adaa hoti hai.. wo adaa jo kisi ki nakal karne se nahi aati.. wo ada jo unke saath janam leti hai.. aur tum mein wo hai.. wo khaas baat

Aarohi: Pata nahi wo kaunsi baat hai jo aapne suni aur kisi ne nahi.. kyunki koshish to bohot ki thi maine.. par kisi ne mauka hi nahi diya

Rahul: Isliye to aaya hoon main.. kyunki main tumhein kaamyaab banana chahta hu.. tumhe sadi ki sabse badi singer banana chahta hu

Aarohi: dekhiye main us tarah ki ladki nahi hoon jis tarah ki aap soch rahe hain

Rahul: (laughs) main us tarah ki ladkiyon se is tara ki baatein nahi karta. par kya karoon.. lagta hai mujhe ishq ho gaya hai, pagal wagal ho chuka hoon main, ab ye ishq gun se hua hai ya gunvanti se ye main jaanta nahi

Aarohi: Pata chal jaayega.. lekin nasha utarne ke baad

_____________

Aarohi: hum yahan se kaheen door chale jayenge jahaan humein koi nahi jaanta ho.. main kuch banna zaroor chaahti thi par itni badi keemat dekar nahi use kho kar nahin

Mahesh Thakur: par ek beemar ke saath koi beemar nahi ho jaata… agar tumhara pyaar hi iska ilaaj tha, toh phir ab tak asar kyu nahi hua?? woh mohtaaj hai apni aadaton ka, uss zehar ka, woh kaheen pahunchna hi nahi chaahta to phir kahan le jaogi usse aur aakhir kab tak..

Aarohi: main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoon

agar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe mil jaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe ke aarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..

Mahesh Thakur: paagal ho gayi ho tum bilkul hosh nahi hai tummein. Tum kya boli jaa rahi ho…uskee aashiqui ne tumhe paagal hi kar diya.

_____________

Ye famous log flop hone ke baad kitne boring lagte hain

Which is your favorite dialogue from Aashiqui 2? Tell us in the comments section below.

Also check: Tum Hi Ho Lyrics

Article by Abhishek Sharma

Advertisements

223 Comments

  • Kyunki aarohi meh ja raha hu kisi gym me
    member ban ne…roz subha sham ko yehi
    programme hoga mera….
    subha ko gym..shaam ko jogging..proper
    diet….

  • arohi : rahul kya kar rahe utro wahan se..
    rahul : aakhir bachhe ko chand mil he gya….uss pade parde par award leti hui bahut khubsurat lag rahi thi tum..

    par kya ye sharab ki bottle utni he achhi lagti hai mere haath me….nahi naa

    par kya karu aisi latt lagi hai ki jaati he nahi…
    jab jindagi ko pehla break mill gya tab naam ,paisa ,shohrat ,rutba…

    duniya kaleen ki tarah meri qadmo me bichh gayi or mujhe uss par chalna he nahi aaya…

    kal bhi yahi haal tha aaj bhi or hmesha aisa he rhega (and he falls on the floor)

    arohi : rahul smhal kar….kya kar rhe ho kyu kar rahe ho..

    Rahul: hume is riste ko yahi khatm karna hoga, abhi isi waqt abhi bhi kuch nahi bigda arohi itna karib nahi aaye hum dur ja sakenge ek dusre se ab tum kaamyab ho aarohi.. sab kuch hai tumhare pas.. jao apni jindagi jio.. main apni aadt se dar gaya hu.. mera aane wala kal me nahi janta.. kyaa ho jau.. kya ban jau.. kya salukh karne lagu tumhare saath.. insaan se haivan banne me kitni der lagti hai.. toh fir kyu ghasitu mai tumhe apne iss nark me…I cant do this… I can’t
    Aarohi: to fir to fir chod do ye aadt chod do.. kya rakhha he isme haan…mai madad karungi.. me chudva dungi ye aadat ek mauka toh de ke dekho
    Rahul: ye aadt ab nahi jaane vali..ye toh wo biwi hai jo saath rehkar satayegi bhi or talaak bhi nahi degi….. meri baat mano sukhi rahogi tum mere bagair
    Aarohi: yani ye aadat tumhare saath reh sakti hai mai nahi.. rahul pyaar majak nahi hota
    Rahul: Lekin ye meri jindagi hai
    Aarohi: Lekin mujhse milne ke pehle thi na ye aadat tumhe agar itna hi dar tha to itne pas kyu aaye tum.. dur hi rehna tha naa
    Rahul : arre yahi to baat hai jab tum nahi thi toh mera dushman sirf mai hi tha.. iske pehle ki mai tumhara ban jau just go away…
    Aarohi: Thik hai mai jaa rahi hu.. tumse aur is kamyabi se duur..
    Rahul: apni kamyabi ko itna chota mat samjho aarohi.. sirf naseeb valo ko naseeb hoti hai ye
    Aarohi: janti hu.. or ye bhi ki mere bure waqut me tum the mere saath. Ab agar acche waqt me tum nahi to ye waqut bhi mujhe nahi chahiye…..

    rahul : aarohi …aarohi ruko..

    hum tere bin ab reh nahi sakte tere bina kya wajood mera…

  • Yeh zindagi chal to
    rahi thi,
    Par tere aane se
    maine jeena suru
    kiya,
    Aur ab taqdir yahi hai,
    Ke tere har ek
    khawab ko pura karu,
    Tujhe zindagi doon … luv u of both

  • Ye movie ki story almost same h meri live story se bas ek fark h mai itni bari singer nai hu av but I love someone very deeply or wo v mujhse karta tha but leave me alone bcz of his habit of drinking qki usko lagta tha mera or uska koi future nai h
    But I still love him and I live only for him ……

    arohi : mere bure waqt me tum the mere saath, ab agar achhe waqt me tum mere sath nahi to ye waqt bhi muje nahi chahiye

    This is one ofmy favourite dilouge

    I love you sumit I always love u alotttttttt

  • I love this movie..
    …i have been loving this since movie was realeased..
    I want that dialogue last conversation between aarohi & rahul…
    ~~dukhi ho gai na mere ishq me , kal se me gym join karunga roj subah saam yahi plan hoga

  • I like only one dialogue in the complete movie. An the dialogue is ( tum mujhe itni bheed me pahchanoge kaishe mai aaine me apna chehra bhul sakta hu par tumhara kabhi nahi ).

  • Arohi….Jab tum nahi thi toh mera dushman sirf main tha, isse pehle ki main tumhara ban jaoon.. go away…bhula dena mujhe alvida tujhe….tujhe jina h…mere bina….

  • Mahesh Thakur: par ek beemar ke saath koi beemar nahi ho jaata… agar tumhara pyaar hi iska ilaaj tha, toh phir ab tak asar kyu nahi hua?? woh mohtaaj hai apni aadaton ka, uss zehar ka, woh kaheen pahunchna hi nahi chaahta to phir kahan le jaogi usse aur aakhir kab tak..

    Aarohi: main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoon

    agar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe mil jaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe ke aarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..

  • R.j :Arohi m tmhre liye jita hu zindgi n bhut mod liye par jina too tmhre sath hi tha ky tm mra sth dogi
    Arohi : kbhi na kha h

  • I love all dialouges of aashiqui2
    Aditya n shrradha really wrk vry gud.
    I wnt this in every aashiqui series make with uu.
    Its songs,dialouges,lyrics,background music,actors…
    Everything is toooooo guddd…

  • Aarohi: hum yahan se kaheen doorchale jayenge jahaan humein koi nahi jaanta ho.. main kuch banna zaroor chaahti thi par itni badi keemat dekar nahi use kho kar nahinMahesh Thakur: par ek beemar kesaath koi beemar nahi ho jaata… agar tumhara pyaar hi iska ilaaj tha, toh phir ab tak asar kyu nahi hua?? woh mohtaaj hai apni aadaton ka, uss zehar ka, woh kaheen pahunchna hi nahi chaahtato phir kahan le jaogi usse aur aakhir kab tak..Aarohi: main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoonagar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe miljaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe ke aarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo abghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..Mahesh Thakur: paagal ho gayi ho tum bilkul hosh nahi hai tummein. Tum kya boli jaa rahi ho…uskee aashiqui ne tumhe paagal hi kar diya.

  • Main Nahi, Woh Le jayega mujhe uskee Duniya mein,
    Jahaan woh Rehta Hai Din Raat Jahaan Woh Khush Hai,
    uski Aadat Meri hogi, Uska Nasha Mera Hoga,
    woh Unhe Nahi Chod Sakta Lekin Main Inhe Apna Sakti Hoon
    Agar yeh Zehar hi Uska Pehla Pyaar Hai To Main Apnaungi
    Iss pyaar ko, Nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen
    kis mod par woh mujhe Mil jaaye, ubhh Jaaye Inn Aadaton se
    Daud Ke mujhse aakar Kahe ke Aarohi Ab Main Thak Gaya Hoon.
    phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega
    Aur hum vaapas Zaroor Aayenge..

  • A bat mere aur me varsha ke sath huai hai kya batao oo bhi mera pura sath de rhi hai jante hua bhi ki mai galt ho love u varsha
    Rahul and varsha
    Yeh zindagi chal toh rahi thi … par tere aane se maine jeena shuru kiya
    Yeh aadat ab nahi jaane waali hai … yeh toh woh biwi hai joh saath rehkar satayegi aur talaq bhi nahi degi
    Tumhare ishq se bani hoon main … pehle zinda thi … ab jee rahi hoon main
    Star toh wohi ban sakta hai … jiski aawaz sunkar, jiske geet sunkar … dil kahe seeti maar
    Shaurat, naam, kamyabi, paisa, izzat ussi ko milni chahiye jise uski kadar ho … roti ussi ko milni chahiye jise uski bhook ho
    Pyar, mohabbat, aashiqui sirf lafzon ke sivah aur kuch nahi … par jab woh mili … in lafzon ko mainne mil gaye
    Mere bure waqt mein tum the mere saath … ab agar achche waqt mein tum nahi … toh yeh waqt bhi mujhe nahi chahiye
    Main us tarah ki ladkiyon se is tarah ki baatein nahi karta
    Main marne ke liye nahi peeta … peene ke liye marta hoon
    Main aaine mein apna chehra bhool sakta hoon … tumhara kabhi nahi
    Jinhe kuch nahi chahiye hota hai na … woh apna kaam bahut zimmedari se karte hai
    Duniya ke sabse behtareen aur mashoor kalakar woh log hote hai jinki apni ek ada hoti hai … woh ada joh kisi ki nakal karne se nahi aati … woh ada joh unke saath janam leti hai
    Dil ko zubaan, aankhon ko sapne mil gaye … aashiqui mein, zindagi ko mainne mil gaye
    Chaand ko chuhne ka waqt aah gaya hai
    Bimaar ke saath koi bimaar nahi ho jaata
    Apni kamyabi ko itna chota mat samjho … sirf naseeb waalo ko naseeb hoti hai yeh
    Aksar chirag wohi bhujate hai … joh pehle usse roshan karte hai

  • Rahul and varsha a meri kahani bhi waise hi aashiqui 2 jaisi mere liye meri varsha bhi pura sath deta hai miss u varsha a dialog mere ko bahut pasnd hai mere varsha ko bhiYeh zindagi chal toh rahi thi … par tere aane se maine jeena shuru kiya
    Yeh aadat ab nahi jaane waali hai … yeh toh woh biwi hai joh saath rehkar satayegi aur talaq bhi nahi degi
    Tumhare ishq se bani hoon main … pehle zinda thi … ab jee rahi hoon main
    Star toh wohi ban sakta hai … jiski aawaz sunkar, jiske geet sunkar … dil kahe seeti maar
    Shaurat, naam, kamyabi, paisa, izzat ussi ko milni chahiye jise uski kadar ho … roti ussi ko milni chahiye jise uski bhook ho
    Pyar, mohabbat, aashiqui sirf lafzon ke sivah aur kuch nahi … par jab woh mili … in lafzon ko mainne mil gaye
    Mere bure waqt mein tum the mere saath … ab agar achche waqt mein tum nahi … toh yeh waqt bhi mujhe nahi chahiye
    Main us tarah ki ladkiyon se is tarah ki baatein nahi karta
    Main marne ke liye nahi peeta … peene ke liye marta hoon
    Main aaine mein apna chehra bhool sakta hoon … tumhara kabhi nahi
    Jinhe kuch nahi chahiye hota hai na … woh apna kaam bahut zimmedari se karte hai
    Duniya ke sabse behtareen aur mashoor kalakar woh log hote hai jinki apni ek ada hoti hai … woh ada joh kisi ki nakal karne se nahi aati … woh ada joh unke saath janam leti hai
    Dil ko zubaan, aankhon ko sapne mil gaye … aashiqui mein, zindagi ko mainne mil gaye
    Chaand ko chuhne ka waqt aah gaya hai
    Bimaar ke saath koi bimaar nahi ho jaata
    Apni kamyabi ko itna chota mat samjho … sirf naseeb waalo ko naseeb hoti hai yeh
    Aksar chirag wohi bhujate hai … joh pehle usse roshan karte hai

  • I happen to be writing to make you be aware of what a magnificent encounter my child enjoyed visiting your web page. She noticed numerous pieces, with the inclusion of what it is like to possess an incredible giving character to get the mediocre ones without difficulty grasp specified complicated topics. You truly exceeded our desires. Thanks for delivering these effective, healthy, revealing and in addition fun thoughts on your topic to Tanya.

  • I wish to show appreciation to you for bailing me out of this type of instance. After scouting through the search engines and obtaining ways which were not pleasant, I figured my life was over. Being alive without the solutions to the difficulties you have solved through your good article is a critical case, and the ones which might have badly damaged my entire career if I hadn’t noticed your blog post. Your personal skills and kindness in controlling the whole lot was valuable. I am not sure what I would’ve done if I hadn’t discovered such a subject like this. I can now look forward to my future. Thanks for your time very much for this high quality and amazing guide. I won’t hesitate to suggest the website to any person who should receive recommendations about this subject.

Leave a Comment