Aashiqui 2 Best Dialogues – Poetic Romance

Aashiqui 2 writer Shagufta Rafique has written some of the best dialogues for a romantic film in a long time.  Here are some of them. We have also included a couple of dialogue trailers in between.

Rahul Jaykar (RJ): Singers ki izzat kiya karo.. Unki jo tumhare Bar mein gaate hain and unki jinke gaaye hue gaano ki wajah se tumhara Bar chalta hai

_____________

RJ: Daaru apne ghar se laaya hai kya?

Bartender: Nahi sir

RJ: Toh daalne mein kanjoosi kyun kar raha hai? Daal na bindaas

_____________

Bartender: Sir ek beer bar hai, idhar se 20 minute door, lekin wo jagah aapke laayak nahi hai

RJ: Yaar apne laayak to main khud bhi nahi hoon

_____________

Aarohi: Pata nahi kahaan chale jaate ho tum baar baar

RJ: Main bar mein hi tha

RJ to Aarohi: Jab tum nahi thi toh mera dushman sirf main tha, isse pehle ki main tumhara ban jaoon.. go away

_____________

Pizza Delivery Man: Autograph milega?

RJ: haan

Pizza: aapka nahi madam ka

RJ: (smiles) main bulaata hoon madam ko….  aarohi use tumhara autograph chahiye ..

Aarohi: abhi iss waqt? baad mein de doongi na..

Rahul: Ye pal bohot keemti hote hain Aarohi.. jab jaate hain to wapas nahi aate.. jao

_____________

Aarohi: Main yahin rahungi tumhare paas, chali gayi to tum akele reh jaoge. Jo jee mein aaya karoge

_____________

RJ: Aarohi tumhari nakaamyaabi meri zindagi ki sabse badi haar hogi.. mere jeete jee main ek doosra Rahul paida hota nahi dekh sakta.. Tum Rahul Jaykar kabhi nahi banogi.. mere liye bhi nahi

_____________

Rahul: Jaanti ho duniya ke sabse behetreen aur mashhoor kalakaar wo log hote hain jinki apni ek adaa hoti hai.. wo adaa jo kisi ki nakal karne se nahi aati.. wo ada jo unke saath janam leti hai.. aur tum mein wo hai.. wo khaas baat

Aarohi: Pata nahi wo kaunsi baat hai jo aapne suni aur kisi ne nahi.. kyunki koshish to bohot ki thi maine.. par kisi ne mauka hi nahi diya

Rahul: Isliye to aaya hoon main.. kyunki main tumhein kaamyaab banana chahta hu.. tumhe sadi ki sabse badi singer banana chahta hu

Aarohi: dekhiye main us tarah ki ladki nahi hoon jis tarah ki aap soch rahe hain

Rahul: (laughs) main us tarah ki ladkiyon se is tara ki baatein nahi karta. par kya karoon.. lagta hai mujhe ishq ho gaya hai, pagal wagal ho chuka hoon main, ab ye ishq gun se hua hai ya gunvanti se ye main jaanta nahi

Aarohi: Pata chal jaayega.. lekin nasha utarne ke baad

_____________

Aarohi: hum yahan se kaheen door chale jayenge jahaan humein koi nahi jaanta ho.. main kuch banna zaroor chaahti thi par itni badi keemat dekar nahi use kho kar nahin

Mahesh Thakur: par ek beemar ke saath koi beemar nahi ho jaata… agar tumhara pyaar hi iska ilaaj tha, toh phir ab tak asar kyu nahi hua?? woh mohtaaj hai apni aadaton ka, uss zehar ka, woh kaheen pahunchna hi nahi chaahta to phir kahan le jaogi usse aur aakhir kab tak..

Aarohi: main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoon

agar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe mil jaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe ke aarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..

Mahesh Thakur: paagal ho gayi ho tum bilkul hosh nahi hai tummein. Tum kya boli jaa rahi ho…uskee aashiqui ne tumhe paagal hi kar diya.

_____________

Ye famous log flop hone ke baad kitne boring lagte hain

Which is your favorite dialogue from Aashiqui 2? Tell us in the comments section below.

Also check: Tum Hi Ho Lyrics

Article by Abhishek Sharma

Advertisements

238 Comments

  • Me shraab mrne k liye nhi pita….pine k liye mrta hu….

    kyonki tum hi ho……My favourite song

  • main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoon
    agar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe mil jaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe keaarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..

  • RJ: I love you aarohi..
    Is din ka tumse bhi
    jyada intezar kiya
    hai maine..
    Pls..apne liye na sahi
    meri liye hi darwaza
    kholdo..!!!

  • ye dialogue us k lie hain….jo ladka ladki se pyar to karta he par vo uske nashe ko chod nahi sakta aur vo ladki jo us ladke ko apni jindgi se bhi jyada pyar karti he jo uske lie kuchh bhi kar sakti he uski har adat ko vo apna bana sakti he…..i love this dialogues…..but me kehna chahti hu k agar ladki apne pyar k lie sab kuch chod deti he to phir ladka ek nasha nahi chod sakta……?why….?

    Aarohi: main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoon

    agar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe mil jaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe ke aarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..

  • Main Nahi, Woh Le jayega mujhe uskee Duniya mein,
    Jahaan woh Rehta Hai Din Raat Jahaan Woh Khush Hai,
    uski Aadat Meri hogi, Uska Nasha Mera Hoga,
    woh Unhe Nahi Chod Sakta Lekin Main Inhe Apna Sakti Hoon
    Agar yeh Zehar hi Uska Pehla Pyaar Hai To Main Apnaungi
    Iss pyaar ko, Nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen
    kis mod par woh mujhe Mil jaaye, ubhh Jaaye Inn Aadaton se
    Daud Ke mujhse aakar Kahe ke Aarohi Ab Main Thak Gaya Hoon.
    phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega

    my fav

  • ye jindagi chal to rahi ti par tere aane se maine jina shuru kiya,
    aur ab tak teer yahi hai ke tere har ek khab ko pura karu, tuze jindagi du..

  • Wonderfull movie..:)
    heart touching dialogs..
    1 of my favourite
    rahul: naam kya hai tumhara?
    Aarohi: aarohi keshav shirkhe.
    rahul: aarohi kamal ki awaaz h tumhari.
    Aarohi:nhi vo mein toh bs aise hi.
    Rahul: suno bola na… Mere hi gaane ko mujhse bhi achha gaaya tumne.., aaj pta chala kitne aieb hain mujhme,kitni galtiyan ki hain meine apne suron me,aaj se pehle kbhi apne gaane ko itna mehsoos bhi nhi kiya thha meine.
    Aarohi: aap mazak kr rhe hain na.
    Rahul: nhi mein sur aur sangeet k maamle me kbhi mazak nhi krta.
    This dialog makes aarohi fall in love with rahul..:)

  • RJ: Arohi…
    Aarohi : Kyaaa ?
    RJ: Kuch Nahi … Bas
    Yuhii…
    I like this very much…Aashiqui 2 rocks….

  • Tum Dur Ho magar Ye Ehsas Hota Hai, koi Hai Jo Har Pal Dil K Pas Hota Hai Yad To Sabki Aati Hai Magar Apki Yaad Ka Andaz Kuch Khas Hota Ha

  • Kehte he jab koi kisi ko saache dil se yaad karta he to aasman se ek taara tut ke girta he ek din aesa aayega ki saara aasman khali ho jayega aur ilzam hum par lagaya jayega.

  • Best dialog in this movie
    Yeh zindgi chalto rahi thi per tere anse maine zina suru
    Kiya.ad takdir yahi hai k tere har ek khawab ko pura karu
    tuze zindgi du .
    kkyunki tumhi ho ab tumhi ho
    Mere ashaqi ab tum hi ho

  • Wonderful movie..:<3 1 of my favorite.
    Itna pieoge 2 tm mjhe iss bhhd me pehchanoge kaise?
    Pehchan lunga croron tmhe…..lakho,hazaaro mai aaine me mein apna chehra bhool skta hu tmhara kabhi nahi……

  • Pyar, mohabbat, aashiqui sirf lafzon ke sivah aur kuch nahi … par jab woh mili … in lafzon ko mainne mil gaye

  • rohi-tum mujhe itni badi bheed me pahchanoge kaise,, Rj-mai aine me apna chehra bhul sakta hu,tumhara nahi, Arohi-itna pyar mujse kab hua..

  • aarohi : isi din ka intzar tha na tumhe, lo woh din aa gye, me woh ban gayi jo tum muje banana chahte the, bahar aajao rahul, apne liye na to mere liye please bahar aajao please apne

    rahul : help me please

  • aaroh : kab uthe tum
    rahul : rat bhar roi na tum, dukhi ho gai na mere eshq me,
    aarohi : nahi aese hi ro rahi thi , tumhari yad me
    rahul : par me to yahi hu,
    aarohi : aeise hi rahonge na , mere pas,
    rahul : yahi kehne aaya tha tumhe, ki ab tumhe jitna rona he ro lo, tumhare rone dhone ke din ab gaye, me ye sab chhod dunga aarohi, me naya ban jaunga tumhare liye, dekhna sab thik ho jayenga, me bhi tum bhi, madad karongi na meru ?,
    aarohi : kabhi na kaha he ?
    rahul : nahi , pata he jis din mene tumhe paheli bar dekha, to muje pata chala ki tum meri life me kyu aayi, tum ne muje bahot sambhala he baba, tum nebahot kuchh diya he, mene to tumhe woh chiz di he jo mere liye aasan tha, par tumne meri mushkile zeli, meri bewafai, mera bata huva pyar, me tumhe tumhari jagah bhi nahi de paya, par ab sab badalne vala he, aaj seabhi se is woqt se, kyuki aarohi me ja raha hu kisi gym me member banne, roz subah shyam ko yahi program hoga mera, subah ko gym shyam ko joging,
    aarohi : sachi tum ye sab karonge,
    rahul : ha, is bar me bahot siryasht hu jitna pahele kabhi nahi tha, chalo me ja raha hu, khana taiyar rakhna aur muje yad karti rahena, intazar karna
    aarohi : rahul bahot bahot pyar karti hu me tumse
    rahul : to me chalu ? chalo nahi to erada badal dunga
    rahul : aarohi
    aarohi : kya ?
    rahul : kuchh nahi, bas yu hi……..

  • vivek : kaha ja rahi ho tum
    aarohi : kahi bhi
    vivek : matlab ?
    aarohi : matlab yaha se dur, me ye sab chhod kar ja rahi hu,
    vivek : lekin rahul to ye nahi chahta tha na,
    aarohi :kon rahul ? me is nam ke kisi ensan ko nahi janti
    vivek : aarohi gusse me liye gaye fesle bad me taklif dete he,
    aarohi : aaj pehli bar koi fesla kiya he, muje koi taklif nahi he
    vivek : good, wary good, please go, us aadmi ko mit hi jana chahiye mar hi jana chahiye tumhare andar,sala tha hi is layak, sala rokne ki koshish ki thi mene usse, lakin ruka nahi woh, bola jo he bas yahi he, jagah jagah tumhari kala bechhi, tumhate seccrets ki tarah, bas thoda zinda tha na aarohi,to tumhare liye, lekin mar gaya mera dost, usi din jis din unka hath utha tum par, jis din pulice station me dekha tumhe, samj gaya tha, jis tarah pina uski kamjori ban gayi he, woh tumhari kamjori ban gaya tha, tumhare raste ka sab se bada paththar, isi liye usne apni jan de di, taki tum jio, taki tum rahul jaykar na bano, but do no whot, har gaya mera dost, aakhir tum rahul jaykar ban hi gayi,

  • Tum mujhe is bheed mai pechanogai kaise mai aaine mai apna chera bhool sakta hoon par tumhara kabhi nahi meri aashiqui ab tum hi ho
    (09906278859)

  • rahul : ishq ho gaya he muje, pagal wagal ho gaya hu me, ab gun se ya gunvanti se ye muje malim nahi

  • arohi : mere bure waqt me tum the mere saath, ab agar achhe waqt me tum mere sath nahi to ye waqt bhi muje nahi chahiye

  • Tum muje is bhid me pehchanoge kaise.
    Mai ayneme apna chehra bhul sakta hun tumara kabhi nahi
    Itna pyar kab huva mujse.

    Meri aasiqui ab tum hi ho. . . .

  • Rahul: Jaanti ho duniya ke sabse behetreen aur mashhoor kalakaar wo log hote hain jinki apni ek adaa hoti hai.. wo adaa jo kisi ki nakal karne se nahi aati.. wo ada jo unke saath janam leti hai.. aur tum mein wo hai.. wo khaas baat

  • RJ to Aarohi: Jab tum nahi thi toh mera dushman sirf main tha, isse pehle ki main tumhara ban jaoon.. go away

    _____________

    Pizza Delivery Man: Autograph milega?

    RJ: haan

    Pizza: aapka nahi madam ka

    RJ: (smiles) main bulaata hoon madam ko…. aarohi use tumhara autograph chahiye ..

    Aarohi: abhi iss waqt? baad mein de doongi na..

    Rahul: Ye pal bohot keemti hote hain Aarohi.. jab jaate hain to wapas nahi aate.. jao

    _____________

  • I like only one dialogue in the complete movie. An the dialogue is ( tum mujhe itni bheed me pahchanoge kaishe mai aaine me apna chehra bhul sakta hu par tumhara kabhi nahi ).

  • Aarohi: dekhiye main us tarah ki ladki nahi hoon jis tarah ki aap soch rahe hain

    Rahul: (laughs) main us tarah ki ladkiyon se is tara ki baatein nahi karta. par kya karoon.. lagta hai mujhe ishq ho gaya hai, pagal wagal ho chuka hoon main, ab ye ishq gun se hua hai ya gunvanti se ye main jaanta nahi
    ……………………….
    ufff!!!! just luv him ah!

  • Vivek: what the hell is wrong with you u man

    R.j: puchana bhi mat mene kyu kiya ye, tu jaanta hai, us ladki ko mene hi kaha tha ki vo dobara kisi bar me nahi gaaye gi, use mene hi kaha tha ki vo ek kaamyab singer baane gi, use mene hi kaha tha ki vo ek star baane gi, me gya tha uske hotel me vivek vo nahi aayi thi mere pass, aur tune kya kiya tune uski bezaati ki, uske phones chupaye muje se, usse jhoot bola, uske saath vo suluk kiya jo sirf ek dusman kar sakta hai.

    Vivek: haa kyu ki me tera dost hu, saalo se hu tere saath, kam se kam mera itna lihaz to kiya hota ke kisi bhi aayi gaayi ladki ke liye ….

    R.j: vo koi aayi gaayi ladki nahi hai…

    vivek: is liye kiya mene ye sab taaki tu dur rhe usse, i didn’t want dis to happen man, pahele sharaab fir drugs aur ab ye…

    R.j: me jo karu mere life ke saath vo mera problem hai vivek….

    vivek: nahi ye tera personal problem nahi hai, dus saal se hu tere saath tuje sambhala tere kaam ko sambhala teri kaamyabi dekhi teri barbadi dekhi lekin ab ye nahi dekh sakta ki jis success ki tuje aaj sab se jayad jarurat hai vo tu kisi aur ke payro me rakh de, jo tuje apne liye karna chahiye vo tu kisi aur ke liye kare, dukh hota hai muje taklif hoti hai ye jaankar ki tune apne andar ke hunar ko dekh na hi band kar diya hai, bhul gya kis aawaz ka maalik hai, jiska mukablab koi nahi kar sakta, kyu… kyu tu apne aap ko nahi dekh rha kyu tu apne aapko sunn nahi rha, muje dusman bolta hai saale just…. just look at your self..

    R.j: you are right, aur ye bhi saach hai ki ab muje kuch nahi chahiye, shohrat naam kamyabi paisa izzat, ussi ko milni chahiye jise uski kadar ho vivek, roti ussi ko milni chahiye jise uski bhukh ho, aur vo kadar vo bhukh mene us kadki me dekhi, vo kadar ab jo mujh me nahi hai, aur me is sacch ko maan chukahu, tu bhi maan ja mere bhai ki tera dost ab tuje teri tankhawa tuje nahi de sakta, you are free man now vivek jaha jana hai chala ja…….

Leave a Comment