Senti Wali Mental Lyrics – Shaandaar

The Senti Wali Mental lyrics from ‘Shaandaar’, featuring Shahid Kapoor and Alia Bhatt in the lead. Directed by Vikas Bahl, the music has been composed by Amit Trivedi. The lyrics of Senti Wali Mental has been penned by Amitabh Bhattacharya. The song has been sung by Arijit Singh, Neeti Mohan, Swanand and Amit Trivedi.

Senti Wali Mental Lyrics

Badi hi senti wali mental
Hai ye choriyan
Badi hi senti wali mental
Hai ye choriyan

Haaye….

Badi hi senti wali mental
Hai ye choriyan
Badi hi senti wali mental
Hai ye choriyan

O ki macchar bhi kaate
To selfie uski kheech le
Ki macchar bhi kaate
To selfie uski kheech le
Zamaane se lena na dena haaye
Zamaane se lena na dena
Ya khuda ya khuda
Tu hume inse bachana zara

Ki nakli noton ka ek bundle
Hain ye choriyan
Badi hi senti wali mental
Hain ye choriyaan
Badi hi senti wali mental
Hain ye choriyaan

Ho subaho shaam taade
Ye ladkiyon ko gaur se
Lage haath dil pe
Par dhadke kahin aur se (Repeat once)

Akal hai matar ka daana re
Haaye
Akal hai matar ka daana re
Ya khuda ya khuda,
Aaina inko dikhana zara

Aji harkat se accidental hain ye chokre
Aji harkat se accidental hain ye chokre
Hume kehte hain par khud
Mental hai ye chokre
Hume kehte hain par khud
Mental hai ye chokre

Haaye ye mascara lip-gloss ki
Jitni bahaar hai
Jo ladke palat ke na
Dekhe toh bekaar hai
Na dekhe toh bekaar hai
Na dekhe toh bekaar hai

Ho ye audi bmw
Ghanta jaguar hai
Jo ladki na baithi to
Kaahe ki mehangi car hai

Haan,yeh duniya hai bus stop
Ladki bus ke jaisi
Ruko paanch minuton me
Agli phir milegi
Ho sambhal ke kahin na yeh
Bus chhoot jaaye
Baaki zindagi warna
Paidal hi kategi

Ladkiyan bana bola,
God ne bhi “oh my god!””
God ka karishma lakdi,
Ladke god ka hain fraud

Ho tradition yahi hai apna
Ladkiyan paraya dhan
Ho ladke jaise kale dhan se
Better hai paraya dhan
Better hai paraya dhan ji
Better hai paraya dhan
Better hai paraya dhan haan
Better hai paraya dhan

Ho gaya faisla jaao ji
Ho gaya faisla jaao ji
Ho gaya faisla jaao ji
Munh dho ke aao zaraa

Ladkiyon ke pairon ka sandle
Hain yeh chokre
Ladkiyon ke pairon ka sandle
Hain yeh chokre
Humein kehte hain par khud
Mental hain yeh chokre
Arey harqat se accidental
Hain yeh chhokre…

Oh ho ho…

Main hoon wo sandal ki
Jispe tera bojh hai
Main single pasli
Tu double dose hai
(tu double dose hai)

Kaisa ye dastoor
Kaisa riwaaz hai
Medium dulhe ki
Dulhan extra large hai
(dulhan extra large hai)

Tujhe kya lagta hai
Teri hirni chaal hai
Teri kamar hai kamra
Tu bhk hall hai
Rishta hai nahi ye
To poora scam hai
Zindagi ka safar ab to
Stuck in jam hai
Rishta hai nahi ye to
Poora scam hai
Zindagi ka safar
Ab to stuck in jam

Jodta hoon main tere haath
Mujhko phansna nahi tere saath
Pyaar mujhko jispe aaye
Tujh mein na ek bhi aisi baat
Maarun aisi jodi ko laat
Jo kare jeevan ko barbaad
Dekh tu haalat teri
Tujhpe hai sharminda aurat zaat
Haan… Chal hatt…

Boo boo…
Booh….

Patli kamar ki tujhko
Itni kya demand hai
Brad pitt ka pota hai
Ya tu james bond hai

Maa agar teri moti
Hoti toh kya chhod deta
Size ke dar se kya
Usse bhi naata tod deta

Hatt

Haan wajan ka kya hai ye
Workout se ghat jayega
Tere jaisa blunder
Kaise undo ho payega

Aurat zaat ko jo nicha dikhayega
Jaan le besharam
Mitti mein mill jayega (Repeat once)

Auraton ki izzat ka jo
Kare public mein phaluda
Dekh durghatna hai
Tere jaisi paidaish behuda
Thobda accha na sahi
Baat acchi kar le beta
Tere jaise budbuk ko
Thodi buddhi baksh re khuda
Sympathy unse hai jinke ghar
Tere jaisa putar hua

Kami hai mujhme aur perfection
Hain ye chhoriyan
Kami hai mujhme aur perfection
Hain ye chhoriyan

God ka ultimate creation
Hai ye chhoriyan
Khuda se bandon ka connection
Hai ye chhoriyan
Kami hai mujhme aur perfection
Hain ye chhoriyan

Lyrics: Senti Wali Mental – Shaandaar Song
Music Director: Amit Trivedi
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
Singer: Arijit Singh, Neeti Mohan, Swanand, Amit Trivedi

If there are any mistakes in the Senti Wali Mental Lyrics from Shaandaar, please let us know by submitting the corrections in the comments section.

Advertisements

1 Comment

Leave a Comment