Ek Haseena Thi Lyrics – Karz

Ek Haseena Thi Om – Karzzz (2008)

Movie : Karzzz (2008)
Music Director: Himesh Reshammiya
Director: Satish Kaushik
Producer: Bhushan Kumar, Krishan Kumar
Starring: Himesh Reshammiya, Urmila Matondkar, Danny Denzongpa, Gulshan Grover, Rohini Hattangadi, Shweta Kumar, Bakhtiyaar Irani, Dino Morea, Raj Babbar, Asrani
Lyrics: Sameer

Ek Haseena Thi Lyrics – Karzz Lyrics

Aaj iss mubarak mauke par,
Mein aap logon ko,
Meri aur kamini ki daastan sunana chahta hu,
Mohabbat ki daastan..

Ek haseena thi, ek deewana tha,
Kya umar, kya sama,
Kya zamana tha,
Aaaaa….

Heyy..heyyy..heyy..
La la la la la la…

Ek haseena thi, haseena thi,
Ek deewana tha, deewana tha,
Kya umar, kya sama,
Kya zamana tha,
Aaaaa….

[Ek din wo mile,
Roz milne lage]- 2 times
Phir mohabbat hui, bass qayamat hui,
Sunn ke yeh daastan, kho gaye tum kahan?
Loge hairaan hain, kyunki anjaan hain,
Ishq ki woh gali, baat jiskli chali,
Uss gali mein, mera aana, jaana tha…

Ek haseena thi, ek deewana tha,
Kya umar thi, kya sama tha,
Kya zamana tha,
Ek haseena thi, ek deewana tha..

[Uss hasin ne kaha,
Suno jaane wafa] – 2 times
Yeh falak, yeh zameen,
Tere bin kuch nahi,
Tujhpe marti hu mein,
Pyaar karti hu mein,
Tere bin zindagi, kuch nahi, kuch nahi,
Aashiqui mein unka aalam, kya suhana tha..

Ek haseena thi, ek deewana tha,
Kya umar thi, kya sama tha,
Kya zamana tha,
Ek haseena thi, ek deewana tha..

Bewafa yaar ne,
Apne mehboob se,
Aisa dhokha kiya – 3 times
Zehar usko diya- 3 times

Marr gaya wo jawan,
Marr gaya wo jawan,
Ab suno daastan,
Janm leke kahin,
Fir wo pahucha wahin,
Shakal anjaan thi,
Akal hairaan thi,
[Saamna jab hua,
Phir wahi sab hua]- 2 times
Uspe yeh karz tha,
Uska yeh karz tha,
Karz to farz apna chukana tha,
Hoo..hooo hoo..
La la la la la la…
Hey hey hey hey..
La la la la la la…

Advertisements

11 Comments

Leave a Comment