Kandhon Se Milte Hain Kandhe Lyrics – Lakshya

The Kandhon Se Milte Hain Kandhe lyrics from ‘Lakshya ‘, starring Amitabh Bachchan, Hrithik Roshan and Preity Zinta. Directed by Farhan Akhtar, the music has been composed by Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani and Loy Mendonca. The lyrics of the song have been penned by Javed Akhtar. The film was released on June 18th 2004.

Kandhon Se Milte Hain Kandhe Lyrics

[fb send=’true’ layout=’button_count’][t countbox=’horizontal’]

Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Ab toh hamein aage badte hai rehna
Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna
Ab toh hamein aage badte hain rehna
Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna
Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana

Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Nikle hain maidaan mein ham jaan hatheli par le kar
Ab dekho dam lenge ham jaake apni manzil par
Khatron se haske khelna, itni toh ham mein himmat hai
Mode kalaai maut ki, itni toh ham mein taaqat hai
Ham sarhadon ke waaste lohe ki ik deewaar hai
Ham dushmanon ke waaste hoshiyaar hai taiyaar hai

Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo
Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo
Jeet ki jo tasveer banaane ham nikle hain apni lahoo se
Ham ko us mein rang bharna hai
Saathi maine apne dil mein ab ye thhaan liya hai
Ya toh ab karna hai, ya toh ab marna hai
Chaahein angaarein barse ke bijli gire
Tu akela nahin hoga yaara mere

Koyi mushkil ho ya ho koyi ho morcha
Saath har mod par honge saathi tere
Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Ik chehra aksar mujhe yaad aata hai
Is dil ko chupke chupke woh tadpaata hai
Jab gharse koyi bhi khat aaya hai
Kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai
Palkon palkon pe yaadon ke kuch deep jaise jalte hain
Kuch sapne aise hain, jo saath saath chalte hain
Koyi sapna na toote koyi waada na toote
Tum chaaho jisse dil se woh tumse na roothhe
Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana

Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise, toh dil dushman ke hilte hain
Chalta hai jo ye kaarvaan, gunji si hai ye waadiyaan
Hai ye zameen, ye aasmaan
Hai ye hawa, hai ye sama
Har raste ne, har waadi ne har parbat ne sada di
Ham jeetenge ham jeetenge ham jeetenge har baazi

[Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain ] (Repeat 4 times)

Chalta hai jo… ye kaarvaan…, gunji si hai… ye waadiyaan…

Kandhon Se Milte Hain Kandhe Song Lyrics Details

Song Title: Kandhon Se Milte Hain Kandhe
Music Director: Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca
Lyrics: Javed Akhtar
Singer(s): Kunal Ganjawala, Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod, Vijay Prakash, Hariharan, Shankar Mahadevan
Song Duration (mm:ss): 5.40

Movie: Lakshya (2004)
Director: Farhan Akhtar
Starcast: Amitabh Bachchan, Hrithik Roshan, Preity Zinta, Om Puri, Sharad Kapoor, Sushant Singh, Boman Irani
Producer: Ritesh Sidhwani
Banner: Excel Entertainment
Release Date: June 18th 2004
For more details: Lakshya Movie Page

If there are any mistakes in the Kandhon Se Milte Hain Kandhe Lyrics from Lakshya , please let us know by submitting the corrections in the comments section below.

Advertisements

Leave a Comment