Baat Meri Suniye To Zara Lyrics – Kuch Naa Kaho

The Baat Meri Suniye To Zara lyrics from ‘Kuch Naa Kaho’, starring Aishwarya Rai and Abhishek Bachchan in the lead roles. Directed by Rohan Sippy, the music has been composed by Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca. The lyrics of the song have been penned by Javed Akhtar. The film was released on September 5th 2003.

Baat Meri Suniye To Zara Lyrics

[fb send=’true’ layout=’button_count’][t countbox=’horizontal’]

Baat meri suniye to zara
Baat meri suniye to zara
Kahiye aapko hai kehena hai kya
Meri baat sunke bataiye ke iske bare
Mein hai aap ka khayal kya
Itna kyon guroor aap mein hai
Itna aap mein hai naaz kisliye
Bataiye hai kisne yeh sikhaya aapko
Ke jo bhi tumko chahe jo bhi tum ko pyaar se
Mile usi se tum raho khafa khafa

Baat meri suniye to zara
Kahiye aapko hai kehena hai kya
Aise hum nahi hai lekin hum agar ho aise bhi to
Issmein kya hua
Kyon na ho guror humko kyon na hum ko naaz ho ke
Hum haseen logo ki hi thokaro mein hai zamana
Jisko dekhiye humara hai deewana
Hum kisi ka bhi dil tod de
Kisko aadhe raste mein chod de
To usko bhi duniya kehti hai ada
Hey hey hey aap ko jawab mil gaya
Ho ho ho kahiye kaisa aap ko laga

Baat meri suniye to zara
Aaj sunhi lijiye ke kya hai husn aapka
Kya hai aap ki ada
Aap ke har ek sitam ko humne hi ada kaha
Aur aap ki har ek ada ko haske humne hi saha
Humne hi to zara si baat ko bada ke daastan kar diya
Humne hi to husn ki zameen ko aasmaan kar diya hai
Duniya mein jo aap ka yeh husn bemisal hai
To is mein bhi hamare ishq ka hi to kamal hai
Agar humhi na hote isko kaun poochta

Aapko agar khayal hai
Aapko agar khayal hai
Ki hum husn jo mila hai aapne diya hai
Yani jo bhi hai kamal aapne kiya hai
To yeh baat saaf hai ki humko dekhte hi aapko nasha sa ho
Gaya hai sara hosh kho gaya hai
Warna aisi ulti sidhi behki behki baato ki waje hai kya

Nahin samaj mein aayi meri baat to nahin sahin
Jo aap apne husn par guror karte hai
To kariyen par na bhool jayega
Hum ne hi to khoon e dil diya
Jisse rop mein yeh rang aa gaya hai
Aap ka yeh husn duniya bhar pe cha gaya hai
Ho jadoo ban ke hum nigaho par cha gaye
Dilo mein jo samagaye hai to hairat ismein kya hai
Chehra phool hot kaliyan aur zulfein hai andhera
Aisa jo mehak raha hai
Humne hi to aap ke in hoto ko gulab aur chehre ko
Kamal kaha hai hum ne hi to aapki nazar ko jadoo baton
Ko ghazal kaha hai hum ne hi zulf ko kabhi kaha hai raat
Aur kabhi ghata agar humi na dekhte na chahate na poochte
To patharo ke booth ko kaun kehta phir kudha
Baat meri suniye to zara
Chodiye bhi kehne aur sunne ko hai baki kya raha
Dekhiye main keh rahi hoon baat meri suniye to zara
Aap kya kahengi mujhko khoob hai pata
Are baat meri suniye to zara
Phir milenge agar waqt agar mila
Par baat meri

Baat Meri Suniye To Zara Song Lyrics Details

Song Title: Baat Meri Suniye To Zara
Music Director: Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca
Lyrics: Javed Akhtar
Singer(s): Shankar Mahadevan, Mahalakshmi Iyer
Song Duration (mm:ss): 5:43

Movie: Kuch Naa Kaho (2003)
Director: Rohan Sippy
Starcast: Aishwarya Rai, Abhishek Bachchan, Arbaaz Khan, Satish Shah, Suhasini Mulay, Jaspal Bhatti, Himani Shivpuri, Tanaaz Currim, Raja Choudhary, Moushumi Chatterjee, Parth Dave, Razzak Khan
Producer: Ramesh Sippy
Banner: R S Entertainment
Release Date: September 5th 2003
For more details: Kuch Naa Kaho Movie Page

If there are any mistakes in the Baat Meri Suniye To Zara Lyrics from Kuch Naa Kaho, please let us know by submitting the corrections in the comments section below.

Advertisements

Leave a Comment