Jaane Tu Mera Kya Hai Lyrics – Jaane Tu… Ya Jaane Na

Jaane Tu Mera Kya Hai – Jaane Tu…Ya Jaane Na(2008)

Movie : Jaane Tu…Ya Jaane Na
Music Director: A R Rahman
Director: Abbas Tyrewala
Producer: Mansoor Khan, Aamir Khan
Starring: Imraan Khan, Genelia Dsouza
Lyrics: Abbas Tyrewala

Jaane Tu Mera Kya Hai Song Lyrics – Jaane Tu…Ya Jaane Na

Jaane tu mera kya hai, jaane tu mera kya tha,
Tu hi mera har pal, tu hi har lamha tha..

Jaane kaisi kashish hai, jaane kaisi khalish hai,
Kyu yeh saans thami hai, aankhon mein kyu nami hai..

Hai dosti humko yakeen tha, dosti aur kuch bhi nahi tha,
Hai kaisa yeh dard naya sa, kyu dil lagta tuta tuta sa,
Janaa dil jaana, kaise maine naa jaana,
Ki pyaar yahi hai, yeh jaane tu ya jaane naa..
Janaa dil jaana, kaise tune naa jaana,
yeh pyaar yahi hai, haan jaane tu ya jaane naa..

Jaane tu mera kya hai, jaane tu mera kya tha,
Tu hi mera har pal, tu hi har lamha tha..

Hhooooo…
Hoti thi tujhse subah har din ki,
Tere dopher se sham ki dhun thi ,
Hoti thi raatein teri baaton mein khoye,
Tere khayalon mein hi jaage aur soye..

Tu jo nahi to kya raha..

Jaane tu mera kya hai, jaane tu mera kya tha,
Tu hi mera har pal, tu hi har lamha tha..
Jaane kaisi kashish hai, jaane kaisi khalish hai,
Kyu yeh saans thami hai, aankhon mein kyu nami hai..

Janaa dil jaana, kaise maine naa jaana,
Ki pyaar yahi hai, yeh jaane tu ya jaane naa..
Janaa dil jaana, kaise tune naa jaana,
yeh pyaar yahi hai, yeh jaane tu ya jaane naa..

Advertisements

50 Comments

Leave a Comment