Aashiqui 2 Best Dialogues – Poetic Romance

Aashiqui 2 writer Shagufta Rafique has written some of the best dialogues for a romantic film in a long time.  Here are some of them. We have also included a couple of dialogue trailers in between.

Rahul Jaykar (RJ): Singers ki izzat kiya karo.. Unki jo tumhare Bar mein gaate hain and unki jinke gaaye hue gaano ki wajah se tumhara Bar chalta hai

_____________

RJ: Daaru apne ghar se laaya hai kya?

Bartender: Nahi sir

RJ: Toh daalne mein kanjoosi kyun kar raha hai? Daal na bindaas

_____________

Bartender: Sir ek beer bar hai, idhar se 20 minute door, lekin wo jagah aapke laayak nahi hai

RJ: Yaar apne laayak to main khud bhi nahi hoon

_____________

Aarohi: Pata nahi kahaan chale jaate ho tum baar baar

RJ: Main bar mein hi tha

RJ to Aarohi: Jab tum nahi thi toh mera dushman sirf main tha, isse pehle ki main tumhara ban jaoon.. go away

_____________

Pizza Delivery Man: Autograph milega?

RJ: haan

Pizza: aapka nahi madam ka

RJ: (smiles) main bulaata hoon madam ko….  aarohi use tumhara autograph chahiye ..

Aarohi: abhi iss waqt? baad mein de doongi na..

Rahul: Ye pal bohot keemti hote hain Aarohi.. jab jaate hain to wapas nahi aate.. jao

_____________

Aarohi: Main yahin rahungi tumhare paas, chali gayi to tum akele reh jaoge. Jo jee mein aaya karoge

_____________

RJ: Aarohi tumhari nakaamyaabi meri zindagi ki sabse badi haar hogi.. mere jeete jee main ek doosra Rahul paida hota nahi dekh sakta.. Tum Rahul Jaykar kabhi nahi banogi.. mere liye bhi nahi

_____________

Rahul: Jaanti ho duniya ke sabse behetreen aur mashhoor kalakaar wo log hote hain jinki apni ek adaa hoti hai.. wo adaa jo kisi ki nakal karne se nahi aati.. wo ada jo unke saath janam leti hai.. aur tum mein wo hai.. wo khaas baat

Aarohi: Pata nahi wo kaunsi baat hai jo aapne suni aur kisi ne nahi.. kyunki koshish to bohot ki thi maine.. par kisi ne mauka hi nahi diya

Rahul: Isliye to aaya hoon main.. kyunki main tumhein kaamyaab banana chahta hu.. tumhe sadi ki sabse badi singer banana chahta hu

Aarohi: dekhiye main us tarah ki ladki nahi hoon jis tarah ki aap soch rahe hain

Rahul: (laughs) main us tarah ki ladkiyon se is tara ki baatein nahi karta. par kya karoon.. lagta hai mujhe ishq ho gaya hai, pagal wagal ho chuka hoon main, ab ye ishq gun se hua hai ya gunvanti se ye main jaanta nahi

Aarohi: Pata chal jaayega.. lekin nasha utarne ke baad

_____________

Aarohi: hum yahan se kaheen door chale jayenge jahaan humein koi nahi jaanta ho.. main kuch banna zaroor chaahti thi par itni badi keemat dekar nahi use kho kar nahin

Mahesh Thakur: par ek beemar ke saath koi beemar nahi ho jaata… agar tumhara pyaar hi iska ilaaj tha, toh phir ab tak asar kyu nahi hua?? woh mohtaaj hai apni aadaton ka, uss zehar ka, woh kaheen pahunchna hi nahi chaahta to phir kahan le jaogi usse aur aakhir kab tak..

Aarohi: main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoon

agar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe mil jaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe ke aarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..

Mahesh Thakur: paagal ho gayi ho tum bilkul hosh nahi hai tummein. Tum kya boli jaa rahi ho…uskee aashiqui ne tumhe paagal hi kar diya.

_____________

Ye famous log flop hone ke baad kitne boring lagte hain

Which is your favorite dialogue from Aashiqui 2? Tell us in the comments section below.

Also check: Tum Hi Ho Lyrics

Article by Abhishek Sharma

Advertisements

246 Comments

  • Main marne k liye nahi peeta..
    Peene k liye marta hun :)
    Yeh aissa love hai jo sth reh kr satayegi..
    Aur talak bhi nahi degi..:

  • wonderful movie.
    I want to say something to that pizza deliver man.

    hey PIZZA deliver karnewale,
    thoda PEACE bi deliver kardo,
    nahi tho hero ke dil dund jayega,
    phir koi usko dharu peenakeliya PIERCE karega,
    phir uska body sadak par PIECES mein hoga.
    -nixon

    ( just for fun. mera fan.
    sorry if i have any mistakes)

  • Really heart touching story…Wonderful movies. …Most of the dialogues are covered here…so nothing about it..But i would like to say guys…it’s really very hard to find love like this….After long time such heart-touching story…

  • theek hun kya ?
    meri sari sabziyan gira dein idhar udhar
    pure 86 rupe ka nuqsaan kar dya
    bht hote hain 86 rupe
    ab dekh kya rahe ho
    uthaao bache kuche timatar
    aadhe gari k neeche hi dab gaye

  • Rj frnd to Arohi:- kaha ja rahi ho tum
    Arohi:-is sub se door ja mujhe koi nahi jaanta
    Frnd:-rahul toh aisa nahi chahta tha
    Arohi:-kaun rahul main is naam ke kisi bhi admi ko nahi janti

  • Rj frnd to arohi:-Aise insan ko toh mar hi jana chahiye samjaya tha sale ko
    Lekin bola jo hai ab yeh hi hai

  • ” Yeh zindagi chal to
    rahi thi,
    Par tere aane se
    maine jeena suru
    kiya,
    Aur ab taqdir yahi hai,
    Ke tere har ek
    khawab ko pura karu,
    Tujhe zindagi doon “

  • Yeh zindagi chal to
    rahi thi,
    Par tere aane se
    maine jeena suru
    kiya,
    Aur ab taqdir yahi hai,
    Ke tere har ek
    khawab ko pura karu,
    Tujhe zindagi doon

  • ” Yeh zindagi chal to
    rahi thi,
    Par tere aane se
    maine jeena suru
    kiya,
    Aur ab taqdir yahi hai,
    Ke tere har ek
    khawab ko pura karu,
    Tujhe zindagi doon “……

  • This Movie and This Film Dialogue is amazing
    it wins heart and there something true in our life also so thanxxx
    if any1 love her lover this type then 1 of them was lucky among them
    me biswajit love sasmita more than me but i know she never realizemy love
    even she hurt me all time. but i i have a hope 1 day she will realize my love i no i have no chance…

  • RJ: Daaru apne ghar se laaya hai kya?

    Bartender: Nahi sir

    RJ: Toh daalne mein kanjoosi kyun kar raha hai? Daal na bindaas

  • i love the last scene when arohi miss the rahul ehile standing in stadium…n when she watch a couple in rain..i jst love that scene

    2nd 1..

    rahul:mdad kro gi na meri??

    arohi:pehly kbi na kiya hai?

    rahul:nahii

    i love this ‘nahi’ <3

  • Gard: are bhai sahab aap fir se aah gaye? Invitashan card bhi hain tumhare pas?
    RJ: Nahi, Nahi, Wo Mere Sath Hain…
    Gard: Chalia bhai sahab, aap andar nahi ja sakte….
    RJ: Yaar, Hat mat Lagana!! Bat karne ki tamiz nahi hain?
    Challlll!
    Gard: Pakar Use..
    RJ: Are bola na wo mere sath hain…kya samajh ke rakha hai ha??
    Vivek: rahul tamasha mat kar! U man get out of here!
    RJ: yeha jao waha jao! Yeha mat betho waha mat betho!!
    Vivek: rahul relax…
    RJ: what relax????
    Hit pe hit, hit pe hit gane gaye hain mene! Or ase bohut sare partys dekhi hain mene apne life me! I’m rahul jaikar, & i’m a bloody star…
    or aj v mein kisi se kam nahi hu…
    Aarohi: rahul . . . .
    RJ: aaaaaha..

  • Aarohi: main nahi, woh le jayega mujhe uskee duniya mein, jahaa woh rehta hai din raat jahaan woh khush hai, uski aadat meri hogi, uska nasha mera hoga, woh unhe nahi chod sakta lekin main inhe apna sakti hoon

    agar yeh zehar hi uska pehla pyaar hai to main apnaungi iss pyaar ko, nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen kis mod par woh mujhe mil jaaye, tabh jaaye inn aadaton se daud ke mujhse aakar kahe ke aarohi ab main thak gaya hoon. phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega aur hum vaapas zaroor aayenge..

  • all movie best h, all dialogue best h, all character best h,…….mujhe puri movie hi best lagi

  • Aarohi: Hum Yahan se Kaheen door chale Jayenge jahaan humein koi Nahi Jaanta Ho

    Main Kuch Banna Zaroor Chaahti thi Par Itni Badi Keemat Dekar Nahi Ke Main Usse Hi Kho Doon..

    Character: Par Ek Beemar ke saath koi Beemar Nahi Ho Jaata…
    Agar Tumhara Pyaar Hi Iska Ilaaj Tha Naa,To Phir Ab Tak Asar kyun Nahi Hua??
    woh Mohtaaj Hai Apni Aadaton ka,Uss Zehar ka,
    Woh kaheen Pahunchna Hi Nahi Chaahta To phir
    kahaa le jaogi usse aur Aakhir Kab Tak……

    Aarohi: Main Nahi, Woh Le jayega mujhe uskee Duniya mein,
    Jahaan woh Rehta Hai Din Raat Jahaan Woh Khush Hai,
    uski Aadat Meri hogi, Uska Nasha Mera Hoga,
    woh Unhe Nahi Chod Sakta Lekin Main Inhe Apna Sakti Hoon
    Agar yeh Zehar hi Uska Pehla Pyaar Hai To Main Apnaungi
    Iss pyaar ko, Nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen
    kis mod par woh mujhe Mil jaaye, ubhh Jaaye Inn Aadaton se
    Daud Ke mujhse aakar Kahe ke Aarohi Ab Main Thak Gaya Hoon.
    phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega
    Aur hum vaapas Zaroor Aayenge..

    Character: Paagal ho Gayi Ho tum bilkul hosh nahi ke tum tum kya boli jaa rahi ho…Uskee Aashiqui ne Tumhe Paagal Hi Kar Diya…………

  • Arohi – itna piooge to tm mjhe iss bhhid me pehchanoge kaise?

    Rj – pehchaan lunga mai tmhe…laakhon,hazaaron…croron me pehchan lunga,……mai aaine me apna chehra bhool skta hu tmhara kabhi nahi..

    Aarohi – itna pyar kab hua mjhse…

    Rj to secuirty guar – chal be chal kaha na wo mere sath hai…….kya smajh rkha hai haan..? Yahan jao wahan jaao, yahan mat baitho waha mat baitho…..bahut kama k diya hai in saalo ko..,…hit pe hit, hit pe hit gaane diye hai maine….

    Vivek to Rj – rahul relax

    Rj to vivek – whaat relaxx?? And everybody treat me like this…aisi bahut saari parties me gya hu mai apni lyf me……I’am Rahul Jaykar, and i’am a bloody star….aur mai aaj bhi kisi se kam nhi hu……mai kal tha,aaj hu aur hamesha yahi rahunga..,.
    I Jst luv thz scene yar….

  • Tum mujhe is bheed pehchanoge kaise…,?
    Mai aaine me apne chehra bhul sakta hoon tumhaara kabhi nahi….

  • hu
    Aarohi: dekhiye main us tarah ki ladki nahi hoon jis tarah ki aap soch rahe hain
    Rahul: (laughs) main us tarah ki ladkiyon se is tara ki baatein nahi karta. par kya karoon.. lagta hai mujhe ishq ho gaya hai, pagal wagal ho chuka hoon main, ab ye ishq gun se hua hai ya gunvanti seye main jaanta nahi

Leave a Comment